Thursday, June 18, 2009

Sahmi-sahmi nigaho me khwaab ham jagaa denge

Sahmi-sahmi nigaho me khwaab ham jagaa denge,
Sooni-sooni raaho pe phool ham khilaa denge,
Aap hamaare sang muskurakar to dekho,
Aapkaa har gam ham bhula denge.
********************************
Ham mitti ke aashiyaane banaate gaye,
Bana-banaakar unhe mitaate gaye,
Hame koi na apnaa bana sake,
Ham har kisi ko apnaa banate gaye.
********************************
Dosti gunaah hai to hone na dena,
Dosti khuda hai to khone na dena,
Karte ho dosti jab kisi se to kabhi,
Us dost ko rone na dena.
********************************
Gam ko bechkar khushi kharid lenge,
Khwaab bachakar zindagi kharid lenge,
Hoga imtihaan to dekhoge duniya,
Khud ko bechkar aapki khushi kharid lenge.
********************************
Vo dosti hi kya jisme dooriya na ho,
Vo apmaan hi kya jisme ladaai na ho,
Vo dil hi kya jisme dard na ho,
Aur vo mobile hi kya jisme hamara SMS na ho.
********************************

No comments:

Post a Comment