Thursday, June 18, 2009

Jinke liye tere armaan hi kafi hai

Dard-e-dil kisko bataye,
Hume yaha par doosra diljala mil jata hai,
Kambakht yaha tera chehra hame ab sharab mein bhi Nazar aata hai.
Sochta hu dil bahla lu lekin har dil mein tera
Ehsaas mil jaata hai.
********************************
Jab dosti ki dastaan vakt sunayega,
Hamko bhi koi shakhs yaad aayega,
Tab bhool jaayenge zindagi ke gamo ko,
Ab aapke saath gujara vakt yaad aayega.
********************************
Khuda salamat rakhe unako,
Jo hamse nafrat karte hai,
Pyar na sahi, nafrat hi sahi, kuch to hai,
Jo vo sirf hamse karte hai.
********************************
Jinke liye tere armaan hi kafi hai,
Dil ki kalam se likhi ye daastan hi kafi hai,
Teer ki kya jarurat hai, katl karne ke liye teri
Muskaan hi kafi hai.
********************************
Tanha khud ko kabhi hone mat dena,
Apno ko kabhi rone mat dena.
Aap bahut khas ho humare liye,
Is khayaal ko apne se kabhi juda hone mat dena.
********************************

No comments:

Post a Comment