Tuesday, June 9, 2009

Dosti aur pyar kabhi kam nahi hote.



Khamoshiyo me ek ada itni pyari - si lagi,


Aapki dosti hume sabse nyaari - si lagi…


Yaha na tute kabhi yahi dhuaa hai,


Kyonki yahi duniya me hume pyari lagi.


********************************



Dhuaa karte hai hum ‘khuda’ se-E ‘khuda’!


humara pyar apni manzil paye.


Agar uski raaho me andhera aaye…


To roshni ke liye hume jalaai.


********************************



Kwaabo me aane waale tera shukriya,


Dil ko bahlane waale tera shukriya,


Kaun karta hai is jamane me…


Kisi se dosti itni,Hume dost kehne waale tera shukriya.


********************************



Bada armaan tha tere sang jivan bitaane ka,


Shikva hai to bus tere khamosh rah jane ka,


Dewangi isse barkar kya hogi,


Aaj bhi intazaar tere aane ka.


********************************



Muskan ke dairo me humesha khushi nahi hoti,


Assuo ke bahavo me humesha gum nahi hote,


Bhar jaye chahe faasle,


Dosti aur pyar kabhi kam nahi hote.


********************************


No comments:

Post a Comment