
Humane puchha kaise ho, zawaab na aaya.
Is berukhi se hamara, dil bhar aaya.
Socha galati kisaki hai, to ye khyaal aaya...
Shayad ye nacheez dost pasand hi naa aaya.
********************************
Pyar mein to aksar patthar dil bhi pighal jaate hai,
Kya jaane sachchi mohabbat ko, vo ‘TajMahal’
Ko bhi khandar kahkar nikal jaate hai.
********************************
Kabhi badali hui takadeer nazar aati hai,
Yaadon ki bas ek janjeer nazar aati hai,
Pade bhi to kya pade yaar,
Mujhe mobiIe mein bhi teri tasveer nazar aati hai.
********************************
Is hawa mein khushbu hai tumhari,
Is chand ki roshani mein surat hai tumhari.
Is dil mein jo markar bhi judaa naa ho sake,
Vo dosti hai tumhaari.
********************************
Hume apane dil mein basaye rakhana,
Humari yaadon ka chiraag jalaye rakhana,
Bahut lamba hai safar zindagi ka,
E dost, ek hissa hume bhi banaye rakhana.
********************************
No comments:
Post a Comment