Thursday, June 11, 2009

Aaj raat par noor hai...


Aaj raat par noor hai...

Kyonki chand par usko garoor hai...

Ham kis par garoor kare...

Humara chand hi humase dur hai.

********************************

Mohabbat ke bhi kuch andaaz hote hai,

Jaagati ankho me bhi kuch khawaab hote hai...

Jaruri nahi ki gam me hi aansu nikale...

Muskarati aankho me bhi sailaab hote hai

.********************************

Unhone dekha aur aansu gir pade,

Bhari basant me jaise fal gir pade,

Dukh yah nahi ki unhone hume alvidaa kaha,

Dukh to ye hai ki uske baad vo khud bhi ro pade.

********************************

In udaas muskarahatom ke peeche,

Dhoom ke rele hai, e tumhe kya bataye,

Ki tum bin hum kitane akele hai.

********************************

Aaho me teri khoya tha me,

Teri julpho ke neche soya tha me,

Neend khuli tab jab tere sapano me,

khoya tha me.

********************************

No comments:

Post a Comment