Thursday, June 18, 2009

Aakhen to ham bhi band karte hai

Har farz dosti ka ada kaun karega,
Ham na rahege to dosti kaun karega,
Mere khuda hamaari dosti ko salamat rakhna,
Varna hamaari zindagi ki dua kaun karega.
********************************
Duniya jise neend kahti hai,
Jaane vo kya cheez hoti hai...
Aakhen to ham bhi band karte hai,
Par vo unse milne ki tarkeeb hoti hai.
********************************
Aaj phir dil hai kuch udaas-udaas,
Jaane kyon ek maayusi-si Chaayi hai,
Aaj phir palkon me paani hai,
Bheed me hu phir kyo ye tanhaai hai.
********************************
Baat rakhi dil me kah na sake,
Yaad kiya aapko to saans le na sake,
Pucha kisi ne dil se ki tune pyaar kisse kiya,
Jaante the, phir bhi tumhara naam le na sake.
********************************
Bikhare ashkon ke moti ham piro na sake,
Teri yaad me saari raat so na sake,
Bheeg na jaaye aasoo me tasveer teri,
Bas ye hi sochkar ham ro na sake.
********************************

No comments:

Post a Comment