Thursday, June 18, 2009

Hum jaane kyon aapko khone se darate hai


Mushkil mein ho to muskurana aasaan nahi hota, Phir bhi agar ho chehare par muskaan, To samajho buland hausale ki nai pahchaan. ******************************** Faasle mitakar aapas mein pyar rakhana, Dosti ka yah rishta hamesha barkarar rakhana, Bichhad jaaye kabhi aapase hum, Aankho mein hamesha hamara intazaar rakhana. ******************************** Ho sakata hai baarish ke baad aasmaan nilaa na ho, Ho sakata hai dhoop aane se sarso pili na ho, Par aisa kaise ho sakata hai ki, Aapki yaad aaye aur aankhe gili na ho. ******************************** Hum tanhaaiyo se nahi, mahfil se darte hai, Hum zamaane se nahi, apne aap se darte hai, Yun to bahut kuch khoya hai hamane, Par na jaane kyon aapko khone se darate hai. ******************************** In haseeno se kafan achchha hai, Jo marte dum tak saath jata hai, Yah to zinda logo se mukh mod lete hai, Kafan to murdo se bhi lipat jata hai. ********************************

No comments:

Post a Comment