Wednesday, June 17, 2009

Mil jaaye har koi yun hi raaho me,

Tadap ke dekho kisi ki chahat me,

To pata chale ki pyaar kya hota hai,

Mil jaaye har koi yun hi raaho me,

To kaise pata chale ki intzaar kya hota hai.

********************************

Mana ki aaj hamare saath hamara pyar nahi,

Lekin ye mat samajhna hame kisi se pyaar nahi,

Kismat ne sab kuch diya hame,

Sirf diya hamara vo yaar nahi.

********************************

Jab se tu zindagi me aaya hai,

Har taraf khushiyon ka paigaam aaya hai,

Ab tak tha tu sitara banke dur kahi,

E dost tu mere liye aasmaan se aaya hai.

********************************

Udaas nahi hona kyonki me saath hu,

Samane na sahi par aas-paas hu,

Palakon ko band kar jab bhi dil me dekhoge,

Me har pal tumhaare saath hu.

********************************

Hansi ke raaste par chala karo,

Khushiyon ki mahak liya karo,

Pyaar se dilo ko Chua karo,

Apne dost ko yaad kiya karo.

********************************

No comments:

Post a Comment