Friday, July 3, 2009

Saans ke saath tujhe yaad karta hai koi

Yaad me teri aahe bharta hai koi,
Saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
Maut to sach hai ik roz sabko aani hai,
Teri yaad me har roz marta hai koi.
********************************
Zakhm ki baat nahi hai, jaane dard hota hai kyon?
Dhokhe ki baat nahi hai, jaane vishvaas hota hai kyon?
Jaante hue ki bewafai hai,
Na jaane pyaar hota hai kyon?
********************************
Aaj yaar, kal pyaar, parso ikraar,
Phir deedaar, phir intzaar, phir inkaar,
Phir daraar aur saari mehnat bekaar...
And one more devdaas at beer bar!
********************************
Agar duniyaa ko kuch karke dikhana hai,
To champu baadshaah ko suno-haathi ke upar
Haatho ke bal ulte khade hokar photo khichvao,
Ab isi photo ko ulta karke saari duniya ko dikhaao.
********************************
Aaj phir raah me vo ladki nazar aa gai,
Apni pichali mulakat me jiski soorat dil ko bhaa gai,
Me to baat karne hi vala tha, khade-khade ek
Prem-patra tak likha Dala tha, aur
Pata chala usaki ungli me sagaai ki angoothi thi
********************************

No comments:

Post a Comment