Friday, July 3, 2009

Milna to ek bahaana hai

`Marne' par hame `swarg' mile ya na mile,
Ye hawa ye fiza mile ya na mile,
Ai mere dost SMS karne me `kasar' na karna,
Kya pata `narak' me `coverage' mile ya na mile.
********************************
Milna to ek bahaana hai,
Irada to aapka ek lamha churana hai,
Aap chaahe hamse baat karo na karo,
Phir bhi aapki yaado me hamara aana-jaana hai.
********************************
Aasmaan se uteri hai, taaro se saji hai,
Chand ki chandni se nahaai hai,
Mere dost! sambhaal ke rakhna yah dosti,
Ye meri zindagi bhar ki kamaai hai.
********************************
Apni bebasi par aaj rona aaya,
Doosro ko kya maine apno ko aajmaya,
Har dost ki tanhaai door ki,
Lekeen khud ko har mod par akela paaya.
********************************
Chand lamho ki zindagi hai,
Nafrato se jiya nahi karte,
Dushmano se hi guzaarish karni padegi,
Ab to dost bhi yaad kiya nahi karte.
********************************

No comments:

Post a Comment