Friday, July 3, 2009

E dost! dost se na kar mohabbat itani ki

E dost! sharaab se na kar nafarat itni,
Ki peeni pade to pee na sake,
E dost! dost se na kar mohabbat itani ki,
Bichadna pade to jee na sake.
********************************
Sitaro ke aage bhi koi jahaan hoga,
Jo na dekha kabhi vo shama hoga,
Us jahaan ke saare haseen najaro ki kasam,
Aap-sa kameena dost doosra kaha hoga.
********************************
Agar kabhi ham mar jaaye, to hame jala dena,
Magar pahle hamara dil nikaal lena,
Hame chinta nahi dil jaane ki,
Hame to chinta hai us dil me rahne wale ki.
********************************
Aakhon ki jubaan samajh nahi paate,
Hoth magar kuch kah nahi paate,
Apni bebasi kis tarah kahe,
Koi hai jinke bin ham rah nahi paate.
********************************
Jeevan me phal paane ke liye,
Sharam karni padti hai,
Ishwar sif lakeere deta hai,
Rang khud hi bharna padta hai.
********************************

No comments:

Post a Comment