Meri Har Ek Ada Mein Chhupi Thi Meri Tamanna,
Tum Ne Mehsoos Na Ki Ye Aur Baat Hai,
Maine Har Dam Tere Hi Khwab Dekhe,
Mujhe Tabeer Na Mili Ye Aur Baat Hai,
Maine Jab Bhi Tujh Se Baat Karna Chahi,
Mujhe Alfaz Na Mile Ye Aur Baat Hai,
Main Meri Tamanna Ke Samundar Mein Door Tak Nikli,
Mujhe Saahil Na Mila Ye Aur Baat Hai,
Qudrat Ne Likha Tha Tujhko Meri Tamanna Mein,
Teri Qismat Mein Main Na Thi Ye Aur Baat Hai…
********************
Mil Mil Ke Bicharrna Mujhe Accha Nahi Lagta
Per Tum Ko Bhi Paane Ka Raasta Nahi Milta
Tere Khaloos-E- Mohabbat Pe Aetbaar Hai Itna
Siwa Tere Koi Rishta Sacha Nahi Lagta
Tu Mera Pyaar Meri Zindagi Mera Sab Kuch
Bina Tere Yeh Jeewan To Mujhe Accha Nahi Lagta
Bohat Mushkil Se Milte Hain Kisi Ko Chahne Wale
Main Jis Ko Chahta Hoon Woh Mujhe Hi Nahi Milta
Dil To Kya Jaan Bhi Main Us Ko Dedeta
Woh Ek Baar Apne Pyaar Ka Izhaar To Karta……..
****************
Ungli To Doston Pe Uthaaya Na Kijiye
Ye Dosti Hai, Aise Nibhaaya Na Kijiye
Darr Hai Ke Rooth Jaye Na Sab Aap Se Kahin
Aaina Dosto Ko Dikhaya Na Kijiye
Jo Saaye Raat Ko Sada Roshan Kiya Kare
Chingarian To Aisi Bujhaaya Na Kijiye
Jo Tark Kar Chuke Hain Tumhein Raah-E-Dard Per
Unki Khushi Ka Jashan Manaaya Na Kijiye
Muddat Ke Baad Zakhm Ki Lag Jaaye Jub Bhi Aankh
Aahat Se Apni Usko Jagaaya Na Kijiye
Toofaan Mai Doob Jaaye To Mohsin Nahi Malaal
Saahil Pe Laa Ker Kashti Dubaaya Na Kijiye
**************
Zindagi Ke Har Lamhe Ko Jeelo Jee Bhar Ke
Kya Pata Kal Ko Ho Kisne Jaana……
Hum Hain Aaj Yahan Par
Kal Ho Na Ho Kisne Jaana…….
Tera Milna Aaj Khushi Hai
Kal Dukh Bann Jaye Kisne Jaana……
Tera Jaana Humari Badnaseebi Hai
Kisi Aur Ki Khushnaseebi Ho Kisne Jaana……
Har Chehre Ko Dekhlo Jee Bharke
Kal Mile Naa Mile Kisne Jaana…….
Karo Har Rishte Ki Qadar
Kal Ho Naa Ho Kisne Jaana…….
Pyar Baant Sako Toh Baantlo
Kal Tum Ho Naa Ho Kisne Jaana……
***********
Apne Dard Aap Ko Batake,
Hum Aapko Taklif Dena Nahi Chahte,
Haste Hi Rehte Jo Hamesha,
Hum Aapko Rulana Nahi Chahte,
Thokar Khake Jo Hum Niche Gire Hai,
To Khud Hi Uper Bhi Uthege,
A Dost Tumhari To Kya,
Hum Khuda Ki Bhi Madad Nahi Chahte.
*************
Dard Ka Silsila Jab Dil Ke Aarpar Hota Hai
Zindagi Gumshuda Lagati Hai Sanso Ka Waada Tar Tar Hota Hai
Lakh Koshisho Ke Baavjood Aankhe Nam Ho Hi Jaati Hai
Na Kaabu Khud Pe Hota Hai Na Dil Pe Ikhtiyar Hota Hai
Hosh Nahi Hota Kisi Baat Ka Khushiyo Ki Manzilo Pe Bhi
Har Aahat Pe Bechaini Ka Manzar Beshumar Hota Hai
********************
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Kissi Par Umeed Na Rakana,
Par Rakana Aithbar Har Kisi Pe ..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Agar Tum Kudh Ko Chaho Gay,
Tho Har Koi Acha Lagey Ga..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Tum Ko Bura Nahin Lagey Ga,
Agar Dekho Ge Samne Wale Ki Nazar Se..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Na Rona Uss Par Jo Nahin Hai Tumara,
Jo Hai Tumara Ussi Se Kush Rahena..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Nafrat Se Mohabbat Karo Ge To,
Nafrat Ko Mohabbat Ho Jaye Gi,
Mohabbat Se Nafrat Karo Ge To,
Mohabbat Nafrat Mein Badal Jaye Gi..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Na Dhoon Do Kushi Ko, Na Dhoon Do Chain,
Kushi, Chain Dhoone Se Nahin Milti,
Yeh Hain Kudh Ke Andhar, Mehesoos Karke Dekho..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Bewafa Wafa Nahin Kar Sakthey,
Wafa Kare Jo Woh Bewafa Nahin Ho Sakthey..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Maut Ne Ki Wafa To,
Zindagi Ko Bewafa Kahe Diya..
Zindagi Ne Itna Sikhaya Hamein Ke,
Abb Nahi Hai Koi Gilaâ Zindagi Se.
Mere Dil Ki Kitab Ko Padhna Kabhi,
Sapnon Mein Aake Mujh Se Milna Kabhi,
Maine Duniya Sazai Hai Tere Liye,
Meri Nazron Ki Umeed Banana Kabhi,
Bahut Dur Hai Sitaro Se Roshan Jahan,
Jra Humkadam Banke Mere Sath Chalna Kabhi,
Bahut Najuk Seene Mai Dil Hai Mera,
Tum Andaj Mohabbat Banke Dhadkna Kabhi
**************
''Kuchh nahin hai ab mere paas tumhe dene ke liye,
Woh alfaz nahin hai DIL ki TUMHE suna ne ke liye,
Tadap to raha hun tumse kuchh sun ne suna ne ke liye,
Par woh lafz nahin milta TUMHE samjhane ke liye,
Ek pathhar sa ban gya hun main khud mere liye,
Woh jaan nahin hai ab mujh me TUM pe lutane ke liye,
Kaun si rah me chal raha hun najane kisse milne ke liye,
Ek TUM hi to ho mere sath hamesha mujhe rah dikhane ke liye...!!
*******************************
Samajhte hain wo ke pathar hain hum
mujhe wo thokar mar jayenge
ek bar toh khud kehdein wo ke nafrat hai tumse
tab pathar to kya, phool bankar bhi unki rahon mein nahi ayenge
*******************
Dil Main Jo Aaya Who Likh Diya,
Kabhi Milan Kabhi Judai Likh Diya,
Teri Judai Hi Hai Ab Muqaddar Mera,
Lo Apni Zindagi Ka Naam Intezaar Likh Diya.
Din Dhal Gaya Raat Aa Gai,
Fir Tanhai Main Baithne Ki Baat Aa Gai,
Abhi Toh Taron Ki Panah Main Baithe Hi The Ki,
Chand Ko Dekha to Aap ki YAAD Aa Gai.
***************
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment