Gum Mein Bhi Aate Hain Ye Anshoo
Khusi Ke Bhi Hote Hain Ye Anshoo
Rone Par Bhi Aate Hain Ye Anshoo
Hasne Pe Bhi Nikalte Hain Ye Anshoo
Dard Se Bhari Bhi Hote Hain Ye Anshoo
Dukh Se Bhari Bhi Hote Hain Ye Anshoo
Khusiyon Se Bhari Bhi Hote Hain Ye Anshoo
Kubkub Aati Hain Ye Anshoo Kaise Hai Ye Anshoo
***************
Har Roz Mere Raha Se Woh Gujarti Thi
Meri Nigahen Un Par Hi Tik Jaati Thi
Kuch Chaha Kar Bhi May Kah Nahi Pata Tha
Jab Katilana Nazre Mujh Par Tik Jaati Thi
Ab Kabhi Kabhi Mere Raha Se Woh Guzarti Hai
Meri Nigahen Unka Intazzar Karti Rahti Hai
Na Jaane Kaise Ab May Usse Baat Kar Leta Hoon
Aur Unki Nazre Mujhe Katilana Nahi Lagti Hai
Kya Woh Pyaar Tha, Kya Ye Pyaar Hai
Meri Samajh Mein Kuch Aata Hi Nahi
Ab Toh Dil Ki Tarap Badhti Jati Hai
Kya Ye Pyaar Hai Koi Mujhe Samjhata Kyon Nahi
***************
Rulaati Hai Ye Aankhein
Hansaati Hai Ye Aankhein
Daraati Hai Ye Aankhein
Kya Nahi Karti Hain Ye Aankhein
Shikayat Karti Hai Ye Aankhein
Mohabbat Karti Hai Ye Aankhein
Nafrat Karti Hai Ye Aankhein
Kya Nahi Karti Hain Ye Aankhein
******************
Dil Lagi Thi Usey Hum Sy Mohabbat Kab Thi
Mehfil-E-Ghair Sy Un Ko Fursat Kab Thi
Hum Thay Mohabbat Mein Lut Jane K Qabil
Us K Wadoon Mein Wo “Haqeqat” Kab Thi
*******************
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment