Karegi Yaad Zamana Dostana Humara
Zikir-E-Dosti Mei Legi Naam Humara Tumara
Dosti Bin Jiyu Ab Nahi Yeh Gawara
Zindagi Ko Karde Ruksat Doston Ka Ho Ishara
Haal-E-Dil Sune Dost Mushkil Mei De Sahara
Sang Doston Ke Na Hai Din Gumrah Na Raaten Awara
Toofan-E-Dariya Duniya Mei Dosti Hai Kinara
Aye Khuda Salamat Rakh Mere Dost Ko Aur Yeh Dostana Humara
*********************
Zindagi Ki Raftaar Mein
Kabhi Toh Sukun Ki Shaam Aajaye
Na Sahena Pade Lakte Jigar
Tadapte Iss Dil Ko Araam Aajaye
Agar Ho Khuda Ko Manzur
Toh Unke Gunah Mujhpar Ilzaam Aajaye
Bakshen Rahem Unpar Khuda
Toh Meri Wafaaon Ka Inaam Aajaye
Na Ho Ilm Unhe Kisi Bhi Dard Ka
Unke Hisse Ki Taklif Mere Naam Aajaye
Jab Tak Jiye Unpar Mare
Kaash Meri Maut Bhi Unke Kaam Aajaye
******************
Ham Apne Pyaar Ka Izhaar Isliye Nahi Karte Hain,
Kyunki Ham Unki Han Ya Na Se Darte Hain,
Agar Unhone Kar Di Han To Ham Khushi Se Mar Jayenge,
Aur Agar Unhone Kar Di Na To Ro Ro Ke Mar Jayenge,
*******************
Kho Gya Jo Usse Dhoond Ke Laaoon Kaise,
Laapaton Ka Pata Sabko Bataoon Kaise,
Woh Tou Kehta Hai Chalo Saath Saffar Kartay Hain,
Saath Chalta Hoon Magar Saath Nibhaoon Kaise,
Meray Alfaaz Mein Woh Apni Ghazal Kaise Kahay?
Apni Aankhon Se Usse Khwab Dikhaoon Kaise,
Woh Jo Hota Tou Har Roz Jashan Sa Hota,
Uske Jaanay Pe Ab Eid Manaoon Kaise,
Tu Meri Yaad Mein Har Roz Chala Aata Hai,
Sochta Hoon Main Teri Yaad Mein Aaoon Kaise,
Kab Se Aangan Mein Bahaarein Nahi Aayee Hain,
Khushk Phoolon Se Main Ghar Ko Sajaoon Kaise,
Kaise Beh Jaoon Phir Teri Soch K Dhaaray Mein,
Lot Aya Hoon Ab Uss Simt Ko Jaaoon Kaise,
Jhoot Sun-Nay Ke Aadi Hain Meray Sheher K Log,
Kyun Kahoon Such Aur Unko Rulaaoon Kaise,
Dil Jo Roothay Tou Teri Yaad Mana Leti Thee,
Yaad Roothi Hai Ab Isko Manaoon Kaise.
***********************
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment