Saturday, August 29, 2009

खूबसूरत है वो मुस्कान जो दूसरों की खुशी देख कर खिल जाए,




खूबसूरत है वो मुस्कान जो दूसरों की खुशी देख कर खिल जाए,

खूबसूरत है वो दिल जो किसी के दुख मे शामिल हो जाए,

खूबसूरत है वो जज़बात जो दूसरो की भावनाओं को समज जाए,

खूबसूरत है वो एहसास जिस मे प्यार की मिठास हो जाए,

खूबसूरत है वो बातें जिनमे शामिल हों दोस्ती और प्यार की किस्से, कहानियाँ,

खूबसूरत है वो आँखे जिनमे किसी के खूबसूरत ख्वाब समा जाए,

खूबसूरत है वो हाथ जो किसी के लिए मुश्किल के वक्त सहारा बन जाए,

खूबसूरत है वो सोच जिस मैं किसी कि सारी ख़ुशी झुप जाए,

खूबसूरत है वो दामन जो दुनिया से किसी के गमो को छुपा जाए,

खूबसूरत है वो किसी के आँखों के आसूँ जो किसी के ग़म मे बह जाए

Meri Har Ek Ada Mein Chhupi Thi Meri Tamanna...

Meri Har Ek Ada Mein Chhupi Thi Meri Tamanna,
Tum Ne Mehsoos Na Ki Ye Aur Baat Hai,
Maine Har Dam Tere Hi Khwab Dekhe,
Mujhe Tabeer Na Mili Ye Aur Baat Hai,
Maine Jab Bhi Tujh Se Baat Karna Chahi,
Mujhe Alfaz Na Mile Ye Aur Baat Hai,
Main Meri Tamanna Ke Samundar Mein Door Tak Nikli,
Mujhe Saahil Na Mila Ye Aur Baat Hai,
Qudrat Ne Likha Tha Tujhko Meri Tamanna Mein,
Teri Qismat Mein Main Na Thi Ye Aur Baat Hai…
********************
Mil Mil Ke Bicharrna Mujhe Accha Nahi Lagta
Per Tum Ko Bhi Paane Ka Raasta Nahi Milta
Tere Khaloos-E- Mohabbat Pe Aetbaar Hai Itna
Siwa Tere Koi Rishta Sacha Nahi Lagta
Tu Mera Pyaar Meri Zindagi Mera Sab Kuch
Bina Tere Yeh Jeewan To Mujhe Accha Nahi Lagta
Bohat Mushkil Se Milte Hain Kisi Ko Chahne Wale
Main Jis Ko Chahta Hoon Woh Mujhe Hi Nahi Milta
Dil To Kya Jaan Bhi Main Us Ko Dedeta
Woh Ek Baar Apne Pyaar Ka Izhaar To Karta……..
****************
Ungli To Doston Pe Uthaaya Na Kijiye
Ye Dosti Hai, Aise Nibhaaya Na Kijiye
Darr Hai Ke Rooth Jaye Na Sab Aap Se Kahin
Aaina Dosto Ko Dikhaya Na Kijiye
Jo Saaye Raat Ko Sada Roshan Kiya Kare
Chingarian To Aisi Bujhaaya Na Kijiye
Jo Tark Kar Chuke Hain Tumhein Raah-E-Dard Per
Unki Khushi Ka Jashan Manaaya Na Kijiye
Muddat Ke Baad Zakhm Ki Lag Jaaye Jub Bhi Aankh
Aahat Se Apni Usko Jagaaya Na Kijiye
Toofaan Mai Doob Jaaye To Mohsin Nahi Malaal
Saahil Pe Laa Ker Kashti Dubaaya Na Kijiye
**************
Zindagi Ke Har Lamhe Ko Jeelo Jee Bhar Ke
Kya Pata Kal Ko Ho Kisne Jaana……
Hum Hain Aaj Yahan Par
Kal Ho Na Ho Kisne Jaana…….
Tera Milna Aaj Khushi Hai
Kal Dukh Bann Jaye Kisne Jaana……
Tera Jaana Humari Badnaseebi Hai
Kisi Aur Ki Khushnaseebi Ho Kisne Jaana……
Har Chehre Ko Dekhlo Jee Bharke
Kal Mile Naa Mile Kisne Jaana…….
Karo Har Rishte Ki Qadar
Kal Ho Naa Ho Kisne Jaana…….
Pyar Baant Sako Toh Baantlo
Kal Tum Ho Naa Ho Kisne Jaana……
***********
Apne Dard Aap Ko Batake,
Hum Aapko Taklif Dena Nahi Chahte,
Haste Hi Rehte Jo Hamesha,
Hum Aapko Rulana Nahi Chahte,
Thokar Khake Jo Hum Niche Gire Hai,
To Khud Hi Uper Bhi Uthege,
A Dost Tumhari To Kya,
Hum Khuda Ki Bhi Madad Nahi Chahte.
*************
Dard Ka Silsila Jab Dil Ke Aarpar Hota Hai
Zindagi Gumshuda Lagati Hai Sanso Ka Waada Tar Tar Hota Hai
Lakh Koshisho Ke Baavjood Aankhe Nam Ho Hi Jaati Hai
Na Kaabu Khud Pe Hota Hai Na Dil Pe Ikhtiyar Hota Hai
Hosh Nahi Hota Kisi Baat Ka Khushiyo Ki Manzilo Pe Bhi
Har Aahat Pe Bechaini Ka Manzar Beshumar Hota Hai
********************
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Kissi Par Umeed Na Rakana,
Par Rakana Aithbar Har Kisi Pe ..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Agar Tum Kudh Ko Chaho Gay,
Tho Har Koi Acha Lagey Ga..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Tum Ko Bura Nahin Lagey Ga,
Agar Dekho Ge Samne Wale Ki Nazar Se..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Na Rona Uss Par Jo Nahin Hai Tumara,
Jo Hai Tumara Ussi Se Kush Rahena..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Nafrat Se Mohabbat Karo Ge To,
Nafrat Ko Mohabbat Ho Jaye Gi,
Mohabbat Se Nafrat Karo Ge To,
Mohabbat Nafrat Mein Badal Jaye Gi..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Na Dhoon Do Kushi Ko, Na Dhoon Do Chain,
Kushi, Chain Dhoone Se Nahin Milti,
Yeh Hain Kudh Ke Andhar, Mehesoos Karke Dekho..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Bewafa Wafa Nahin Kar Sakthey,
Wafa Kare Jo Woh Bewafa Nahin Ho Sakthey..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Maut Ne Ki Wafa To,
Zindagi Ko Bewafa Kahe Diya..
Zindagi Ne Itna Sikhaya Hamein Ke,
Abb Nahi Hai Koi Gilaâ Zindagi Se.
Mere Dil Ki Kitab Ko Padhna Kabhi,
Sapnon Mein Aake Mujh Se Milna Kabhi,
Maine Duniya Sazai Hai Tere Liye,
Meri Nazron Ki Umeed Banana Kabhi,
Bahut Dur Hai Sitaro Se Roshan Jahan,
Jra Humkadam Banke Mere Sath Chalna Kabhi,
Bahut Najuk Seene Mai Dil Hai Mera,
Tum Andaj Mohabbat Banke Dhadkna Kabhi
**************
''Kuchh nahin hai ab mere paas tumhe dene ke liye,
Woh alfaz nahin hai DIL ki TUMHE suna ne ke liye,
Tadap to raha hun tumse kuchh sun ne suna ne ke liye,
Par woh lafz nahin milta TUMHE samjhane ke liye,
Ek pathhar sa ban gya hun main khud mere liye,
Woh jaan nahin hai ab mujh me TUM pe lutane ke liye,
Kaun si rah me chal raha hun najane kisse milne ke liye,
Ek TUM hi to ho mere sath hamesha mujhe rah dikhane ke liye...!!
*******************************
Samajhte hain wo ke pathar hain hum
mujhe wo thokar mar jayenge
ek bar toh khud kehdein wo ke nafrat hai tumse
tab pathar to kya, phool bankar bhi unki rahon mein nahi ayenge
*******************
Dil Main Jo Aaya Who Likh Diya,
Kabhi Milan Kabhi Judai Likh Diya,
Teri Judai Hi Hai Ab Muqaddar Mera,
Lo Apni Zindagi Ka Naam Intezaar Likh Diya.
Din Dhal Gaya Raat Aa Gai,
Fir Tanhai Main Baithne Ki Baat Aa Gai,
Abhi Toh Taron Ki Panah Main Baithe Hi The Ki,
Chand Ko Dekha to Aap ki YAAD Aa Gai.
***************

Karegi Yaad Zamana Dostana Humara...

Karegi Yaad Zamana Dostana Humara
Zikir-E-Dosti Mei Legi Naam Humara Tumara
Dosti Bin Jiyu Ab Nahi Yeh Gawara
Zindagi Ko Karde Ruksat Doston Ka Ho Ishara
Haal-E-Dil Sune Dost Mushkil Mei De Sahara
Sang Doston Ke Na Hai Din Gumrah Na Raaten Awara
Toofan-E-Dariya Duniya Mei Dosti Hai Kinara
Aye Khuda Salamat Rakh Mere Dost Ko Aur Yeh Dostana Humara
*********************
Zindagi Ki Raftaar Mein
Kabhi Toh Sukun Ki Shaam Aajaye
Na Sahena Pade Lakte Jigar
Tadapte Iss Dil Ko Araam Aajaye
Agar Ho Khuda Ko Manzur
Toh Unke Gunah Mujhpar Ilzaam Aajaye
Bakshen Rahem Unpar Khuda
Toh Meri Wafaaon Ka Inaam Aajaye
Na Ho Ilm Unhe Kisi Bhi Dard Ka
Unke Hisse Ki Taklif Mere Naam Aajaye
Jab Tak Jiye Unpar Mare
Kaash Meri Maut Bhi Unke Kaam Aajaye
******************
Ham Apne Pyaar Ka Izhaar Isliye Nahi Karte Hain,
Kyunki Ham Unki Han Ya Na Se Darte Hain,
Agar Unhone Kar Di Han To Ham Khushi Se Mar Jayenge,
Aur Agar Unhone Kar Di Na To Ro Ro Ke Mar Jayenge,
*******************
Kho Gya Jo Usse Dhoond Ke Laaoon Kaise,
Laapaton Ka Pata Sabko Bataoon Kaise,
Woh Tou Kehta Hai Chalo Saath Saffar Kartay Hain,
Saath Chalta Hoon Magar Saath Nibhaoon Kaise,
Meray Alfaaz Mein Woh Apni Ghazal Kaise Kahay?
Apni Aankhon Se Usse Khwab Dikhaoon Kaise,
Woh Jo Hota Tou Har Roz Jashan Sa Hota,
Uske Jaanay Pe Ab Eid Manaoon Kaise,
Tu Meri Yaad Mein Har Roz Chala Aata Hai,
Sochta Hoon Main Teri Yaad Mein Aaoon Kaise,
Kab Se Aangan Mein Bahaarein Nahi Aayee Hain,
Khushk Phoolon Se Main Ghar Ko Sajaoon Kaise,
Kaise Beh Jaoon Phir Teri Soch K Dhaaray Mein,
Lot Aya Hoon Ab Uss Simt Ko Jaaoon Kaise,
Jhoot Sun-Nay Ke Aadi Hain Meray Sheher K Log,
Kyun Kahoon Such Aur Unko Rulaaoon Kaise,
Dil Jo Roothay Tou Teri Yaad Mana Leti Thee,
Yaad Roothi Hai Ab Isko Manaoon Kaise.
***********************

Tum Ho To Sub Silsily Achay Lagte Hain....................

Tum Ho To Sub Silsily Achay Lagte Hain.
Mujhe Tumhari Dosti Ke Gilay Ache Lagte Hain.
Bohot Door Tak Jana Magar Loot Aana. Mujhe
Tum Sy Tumhi Tak Ke Fasly Ache Lagte Hain
***************
Tanhaion Ke Shahar Mein Ek Ghar Bana Liya
Ruswaiyon Ko Apna Muqadar Bana Liya
Dekha Hai Yahan Patharon Ko Pojte Hain Log
Bas Isliye Apne Dil Ko Pather Bana Liya
******************
Tera Chehre Pe Meri Aankhe Safar Krti Hai
Chand Ke Pehlu Mein Jese Raatain Safar Krti Hain
Main Tujhe Or Kia Wafa Ka Sila Doon
Tere Sene Mein Meri Sansen Safar Krti Kain
*****************
Bohat Hoon Udaas Woh Jo Pas Nahi
Us Ke Wapis Aany Ki Koi Aas Nahi
Pal Pal Hai Guzarta Us Ki Yaadon Mein
Woh Hai Mera Kuch Ehsaas Nahi
Hon Gy Or Dost Us Ke Maloom Nahi
Bus Us Ke Siwa Mera Koi Khas Nahi
Dil Ka Dard Ab Kaisy Ho Kam
Us K Siwa Ab Aata Kuch Raas Nahi
Noman To Us Ki Sochon Mein Hai Gum
Kia Ho Raha Hai Hosho Hawas Nahi
*************
Muskurate Hai Lab Par Ankhen Kyun Roti Hai
Khone Ka Dard Pane Ki Khushi Se Ziyada Kyun Hoti Hai
Kyun Hote Nahi Armaan Pure Dil Ke Sabhi
Puchenge Khuda Se Agar Mile Unko Kabhi
Milega Kya Aye Khuda Tujhe Kisi Ki Taqdeer Aesi Banakar
Tanha Chhor Jaye Humsafar Do Kadam Saath Nibhakar
Agar Deni Nahi Puri Khushi Toh Uska Ehasaas Bhi Na Kara
Nafrat Ki Iss Duniya Mei Mohobat Ko Har Baar Na Hara
Cheekh Uthegi Ruh Karega Tuta Dil Fariyaad
Beshak Mita Hume Par Ab Na Kar Kisi Aur Dil Ko Barbaad

**************************

Gum Mein Bhi Aate Hain Ye Anshoo.......

Gum Mein Bhi Aate Hain Ye Anshoo
Khusi Ke Bhi Hote Hain Ye Anshoo
Rone Par Bhi Aate Hain Ye Anshoo
Hasne Pe Bhi Nikalte Hain Ye Anshoo
Dard Se Bhari Bhi Hote Hain Ye Anshoo
Dukh Se Bhari Bhi Hote Hain Ye Anshoo
Khusiyon Se Bhari Bhi Hote Hain Ye Anshoo
Kubkub Aati Hain Ye Anshoo Kaise Hai Ye Anshoo
***************
Har Roz Mere Raha Se Woh Gujarti Thi
Meri Nigahen Un Par Hi Tik Jaati Thi
Kuch Chaha Kar Bhi May Kah Nahi Pata Tha
Jab Katilana Nazre Mujh Par Tik Jaati Thi
Ab Kabhi Kabhi Mere Raha Se Woh Guzarti Hai
Meri Nigahen Unka Intazzar Karti Rahti Hai
Na Jaane Kaise Ab May Usse Baat Kar Leta Hoon
Aur Unki Nazre Mujhe Katilana Nahi Lagti Hai
Kya Woh Pyaar Tha, Kya Ye Pyaar Hai
Meri Samajh Mein Kuch Aata Hi Nahi
Ab Toh Dil Ki Tarap Badhti Jati Hai
Kya Ye Pyaar Hai Koi Mujhe Samjhata Kyon Nahi
***************
Rulaati Hai Ye Aankhein
Hansaati Hai Ye Aankhein
Daraati Hai Ye Aankhein
Kya Nahi Karti Hain Ye Aankhein
Shikayat Karti Hai Ye Aankhein
Mohabbat Karti Hai Ye Aankhein
Nafrat Karti Hai Ye Aankhein
Kya Nahi Karti Hain Ye Aankhein
******************
Dil Lagi Thi Usey Hum Sy Mohabbat Kab Thi
Mehfil-E-Ghair Sy Un Ko Fursat Kab Thi
Hum Thay Mohabbat Mein Lut Jane K Qabil
Us K Wadoon Mein Wo “Haqeqat” Kab Thi
*******************

Khamosiyo Ne Pukara Tha....

Khamosiyo Ne Pukara Tha,Sannato Ka Sahara Tha
Aur To Hamare Bich Kabhi Koi Sikayat Na Thi
Sirf Tuje Paya Tha Sanam Ne Sari Jindagi Gavan Kar
Sayad Itna Kuch Pa Lene Ki Sanam Ki Jurrat Na Thi
*****************
Hamare Rishato Mein Kabhi Koi Kami Na Ho;
Hamare Pyar Meinkabhi Koi Gami Na Ho;
Ho Jaye Hum Aapse Kitane Bhi Door;
Lekin Aapki Aankho Mein Kabhi Aansuo Ki Nami Na Ho…
Roti Hai Aankhe Muskurane Ke Baad;
Yaad Aate Hai Bitye Hue Din Guzar Jane Ke Baad;
Bichad Jate Hai Aksar Log Milne Ke Baad;
Kho Jata Hai Pyar Hamesa Paa Lene Ke Baad..
Dil Mein Ek Aas Jagi Hai;
Hotho Pe Ek Pyas Jagi Hai;
Roke Rakha Hai Hum Ne Inko Aap Ke Liye;
Kyunki Har Raah Par Aapke Milne Ki Aas Jagi Hai…
***************
Kya Rishta Hum Banaye Aapse,
Ab Kisi Pe Yakeen Nahin Hota,
Sab Kehte Hai Saath Denge Tumhara,
Par Koi Raah Mein Saath Nahin Hota,
Aapse Kuch Kaha Nahin Labon Ne,
Kyu Aap Dil Ki Baat Samajh Jate Ho,
Kya Hum Naam De Aapko,
Har Naam Begaana Ho Jata Hai,
Kaise Thamoon Aapka Haath,
Har Haath Saath Chor Jata Hai,
Kya Rishta Hai Aapke Saath,
Na Kuch Lab Hilte Hai Aur Ishaaar Ho Jata Hai,
Kyu Aapke Naam Se Dil Hamara Darr Sa Jata Hai,
Kya Rishta Hai Hamare Beech,
Yek Dil Kyu Smamjh Nahin Pata Hai………………….
***************
Koi Nahin Jo Hamare Pyar Ko Samajh Pata,
Raah Mein Koi Nahin Hamara Saath Nibhata,
Koi To Aake Hamare Dil Se Bhi Kahe,
Uska Dil Hamare Dil Ke Bina Rah Nahin Pata,
Koi Agar Aake Humse Kahe Woh Hamare Aansoon Dekh Nahin Pate,
Hai Kasam Humein Bhi Chahat Ki Hum Kabhi Aankh Se Aansoon Na Bahate…
*********************

Dost Ek Insaan Jis Se Aap Apni Sab Feelings Share Karte Hain,

Dost Ek Insaan Jis Se Aap Apni Sab Feelings Share Karte Hain,
Dost Jo Har Mushkil Mein Apki Madat Karta Hai,
Dost Jo Dukh Sukh Apka Saath Deta Hai,
Dost Jo Jo Pyar Qurni De Kisi Ke Liye,
Dost Jo Kisi Ka Dil Na Dukhay,
Dost Jo Hamesha Saath De,
Dost Jo Khabhi Mehboob Na Banne,
Dost Jo Duniya Se Lare,
Dost Jo Dosti Ke Liye Jaan Tak Ki Qurbaan Karde
**************************
Eh Dost Teri Rahoon Main Hum Aankein Bichaiye Kade Hain
Tere Kadmoon Main Apna Dil Liye Kade Hain
Eh Dost Tere Kadmoon Ki Dhool Hain Hum
Tere Kadmoon Ki Dhool Ko Phool Samjh Kar Choomte Hain Hum
Eh Dost Tri Tanhai Ke Saathi Hain Hum
Tujh Se Tere Ghamoon Ko Mangte Hain Hum
Eh Dost Teri Dosti Hi Hamri Zindagi Hain
Tere Liye Dil Ka Har Dar Khole Kade Hain
Eh Dost Teri Is Dosti Pe Hain Yeh Jag Bi Qurbaan
Tere Liye Apna Dil Kiya Hum To Apni Jaan Liye Khade Hain
***********************
Kisi Ke Dil Ka Haal Suna Aur Ham Phir Dil Hi Dil Main Rou Diye
Apna Gham Kiya, Unn Kay Gham Apnay Aansuon Se Dhou Diye
Ae Meray Dost, Dost Kaha Hai Teri Khushi Pay Apni Jan Qurbaan
Qismat Kay Nazaaray Aachay, Dost Paa Kar Phir Say Hamnay Koh Diye
************
Zindagi Ke Safar Mai Log Miltai Hai Kabhi Kabhi
Aachay Buray Hotay Hai Yaha Sabhi
Jo Mil Kar Bichardtay Hai Kabhi Kabhi
Jinki Yaad Aati Hai To Rotay Hai Kabhi Kabhi
Sayad Isi Liye Log Kehtai Hai Sachi Mohabbat
Aur Aachay Dost Miltay Hai Kabhi Kabhi
************
Tere Milne Ke Baad, Kisi Ko Pane Ki Chahat Na Thi
Tuje Khone Se Pehle, Itni Darawni Kayamat Na Thi
Kabhi Wajood Tha Hamara Jinki Mohabbat Ke Liye
Aaj Unse Milne Par, Dil Me Wo Mohabbat Na Thi
Isme Kasoor Mera Nahi, Khata Tune Bhi Nahi Ki
Sayad Khuda Ko Manjoor Ye Ibaadat Na Thi............

Tuesday, August 4, 2009

भरोसा मत करो साँसों की डोरी टूट जाती

भरोसा मत करो साँसों की डोरी टूट जाती है
छतें महफ़ूज़ रहती हैं हवेली टूट जाती है
मुहब्बत भी अजब शय है वो जब परदेस में रोये
तो फ़ौरन हाथ की एक-आध चूड़ी टूट जाती है
कहीं कोई कलाई एक चूड़ी को तरसती है
कहीं कंगन के झटके से कलाई टूट जाती है
लड़कपन में किये वादे की क़ीमत कुछ नहीं होती
अँगूठी हाथ में रहती है मँगनी टूट जाती है
किसी दिन प्यास के बारे में उससे पूछिये जिसकी
कुएँ में बाल्टी रहती है रस्सी टूट जाती है
कभी एक गर्म आँसू काट देता है चटानों को
कभी एक मोम के टुकड़े से छैनी टूट जाती है
**********