Friday, September 25, 2009
Hamne dosti to ki, par nibhana na aaya (sayari)
Hamne dosti to ki, par nibhana na aaya,
Unki har baat maante chale gaye,
Par inkaar karna na aaya,
Ham dosti me behte chale gaye, magar kinara na aaya.
*****************************
Tumko jab bhi dekta hu pyaar bhari najar se dekhta hu,
Kabhi tum bura na maan jao isiliye
Chupi nigaaho se dekhta hu,
Tum har baar naye-naye se lagte ho isiliye
Har baar tumhe dekhta hu,
Tumhe najar churakar dekhta hu ki tum ye na soch lo ki
Main tumhe buri najar se dekhta hu.
*****************************
Raat chup hai magar chaand khaamosh hai,
Kaise keh de ki khuda aaj faraamosh hai,
Aisa dooba hu teri aakhon ki gehraai me,
Haath me jaam hai magar peene ka hosh nahi.
*****************************
Jabse najare mili aapse, hame kuch ho gaya,
Raaton ki neend gai, din ka chain chala gaya,
Hame aapse pyaar kya hua,
Ek paagalpan sa sawaar ho gaya.
*****************************
Dost kya khoob vafa ka sila dete hai,
Har naye mod par ek jakhm naya dete hai,
Jin par hota hai dil ko bahut bharosa,
Wo hi log aakhiri waqt par daga dete hai.
*****************************
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment