Tuesday, February 16, 2010

Chand Sitaron Mai Tera Chahra Nazar Aata Hai

In Chand Sitaron Mai
Tera Chahra Nazar Aata Hai
In Baharon Mai Tera Muskurana Yad Aata Hai
Teri Awaj Sunai Deti Hai
Is Rat Ki Khamoshi Mai Or
In Nadmast Andheron Mai
Tera Sharmana Yad Aata Hai
Ik Mhithi Si Hawa Ka Jhoka
Teri Chuoan Ka Ahsas Dila Jata Hai Or
Kano Mai Teri Sasoan Ka Sangeet Suna Jata Hai
Teri Masumiyat Yad Aati Hai
Khilte Hua Phulon Ko Dhek Ker Or
Dhek Ker In Ghataon Ko
Teri Jhulphon Ka Lehrana Yaad Aata Hai
Jab Mai Baithta Hun Akle Mai
Teri Baten Yaad Aati Hai
Tere Sath Guzari Vo Shame Yaad Aati Hai
Tuze Chune Ka Ahsas Mai
Phulon Ko Chukar Karta Hu
Or Chum Kar In Phulon Ko
Tera Pyar Yaad Kerta Hun
Koi To Ho Aisi Bat Jisme
Tera Ahsas Muzko Na Aaye
Isliye Yaden Teri Muzko Itna Tadpaye
Tu Har Pal Hai Sath Mere
Ye Ahsas Bhi Muzko Hota Hai
Phir Bhi Yaad Ker - Ker Ke Tuzko
Na Jane Ye Dil Kyun Rota Hai
Tu Basi Hai Meri Ankhaon Mai
Mai Ansu Bhi Na Bahar Anne Dunga
Ik Bar Aaja Bahon Mai
Phir Na Kahin Jane Dhunga
Khyabon Mai Na Jagah Koi
Pal Bhar Mai Vo Udh Jate Hai
Tu Basi Hai Meri Sasoan Mai
Jo Marne Tak Sath Nibhati Hai
Ye Khili – Khili Si Dhup
Tera Rang Beta Jati Hai
Ye Subah Pyari – Pyari Si
Teri Sunderta Ke Gun Ga Jati Hai
Tera Nam Sunai Deta Hai Muzko
Jab Bhi Koi Awaz Aati Hai Or
Tik – Tik Karti Ye Gadhi Muze
Teri Dhadkane Suna Jati Hai.